Aaj pahunch gayi madam pondy bazaar…..Khareedne apne Mr. ke liye ek sundar uphaar
Khud ko samjhti thi Bargaining ki ustaad….Inke parakram dekh dher ho gaya dukandar
Pehle suit phir shirt phir kurta aur ab juraab…Shuru hui kahan se pahunch gayi rumal par
Shelf ka saara maal pada hua tha zameen par…Dukandar bechara gir jaata hai aapke pairo par
Ghabra kar bolta hai behanji bande ko maaf kar do..Bohni ka time hai is jagah ko saaf kar do
Kyon khali peeli time khota karti ho mera…..Dikhaati aise jaise dukan khareedogi mera
Ek customer se main kasht se raha hun mar..….Dhaati jaa rahi hai aap is bechare par kahar
Aap ke saath hi ho gayi apni subah se sahar….Jaate hue bolti ho Maal accha nahi hai tuhar
Ho sake toh kar dena mujh par ek ehsaan…. Kisi ko bhi mat batana is nacheez ki dukaan
Ab mann mein hai reh gaya sirf ek armaan……Dukaan par laga taala main le loonga vanvaas
Aap jaiso ko jhelte himmat de gayee jawab…. Kaash ki ek mera bhi ho kuch is kadar ruaab
Ban jaaoon main kharidaar aap ho dukandaar….Main bhi ban jaaoo aap hi jitna samajhdaar
Tauba karta hun ki na hoga koi dukandar …..Mere poore khandan mein ab ek bhi baar
Is chalti dukaan par rahega hamesha taala…..Aur main ban keh laaonga jhole wala baba